Total Pageviews

Sunday, September 21, 2014

incense of truth

Tum yun aye mere zindagi mein,
jaise pathjhad ke baad phool lipatta hai belo mein,
jaise suraj chupta hai us goduli mein,
Tumne mere dard ko na sirf mahsoos kiya ,
balki harsambhaw koshish kiya,
ki mein has saku,
ik baar fir zindagi ko mehsus kar saku,
Tumne na sirf jeena sikhaya,
Balki duniya mein bekhaof nikalne ka hosla bhi badhaya,
pyar ki nakami ne jab kiya tha hatash,
tab tumne haath badaya aur aye the mere paas,
chupke se mere dard legaye tum aise, 
Jaise dinke aujale mein chandani kho deti hai apni roshni  jaise,
Jab hasi se darr lagne laga tha ,
tumne mujhe un atkeliyon ka matlab sikhaya tha,
Aaj mein ik baar fir se jee uthi hun,
har ghoont asuon ke pee chuki Hun,
pyaar ka agaz hua hai ik bar fir,
Jhoom uthe hun ik bar fir,
bus aur kuch nahi chahiye 
waqt ruk jaye yahan
bebak mohhabat kar saku,
tujmhe simat jaye meri ye duniya mera ye Jahan .

No comments:

Post a Comment